22/05/2017

Saad Bin Muadh Radi Allahu Anhu ki maut par Rahman ka Arsh Hilne Laga Tha

Hadees

Bismillahirrahamanirrahim

Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya *Saad bin Muadh Radi Allahu Anh* ki maut par Allah ka arsh bhi hilne laga tha , aur ek dusri rivayat mein Jabir Radi Allahu Anhu ne kaha ki maine Rasool-Allah SallAlalhu Alaihi Wasallam se suna ki Saad bin Muadh Radi Allahu Anhu ki maut par Rahman ka arsh hilne laga tha.
------------------------
*Sahih Bukhari, Jild 5, 3803*

No comments :

Post a Comment