17/09/2017

Hazrat Ibrahim Alaihi salam se Saathva Aasman Par Mulaqaat

Bismillahirrahamanirrahim

Aap Sal allahu alaihi wasallam ne farmaya phir hum aage badhey yahan tak ke satwen aasman par pahonch gaye wahan hazrat ibrahim alaihi salam se mulaqaat hui aur aik hadees mein nabi Sal allahu alaihi wasallam ne farmaya ke wahan mein ne chaar nehrein dekhen jo sidra al muntaha ki jadd se nikalti hain do baatini (chupi huyee)  nehrein aur do zahiri nehrein. baatini nehrein to jannat mein hain aur zahiri nehrein neel aur furaat hain

phir mujhe bait al mamur ki taraf uthaya gaya mein ne Jibraiel alaihi salam se kaha ke yeh kya hai? Jibraiel alaihi salam  ne kaha ke Yeh Bait Al mamur  hai jis mein har roz 70,000 farishtay daakhil hotay hain jab woh is se nikaltay hain to phir dobarah kabhi is mein daakhil nahi hotay

#Sahih muslim.  imaan ka bayan. hadees 416
----------
، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا پھر ہم آگر بڑھے یہاں تک کہ ساتویں آسمان پر پہنچ گئے وہاں حضرت ابراہیم علیہ السلام سے ملاقات ہوئی اور ایک حدیث میں نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا کہ وہاں میں نے چار نہریں دیکھیں جو سدرۃ المنتہی کی جڑ سے نکلتی ہیں دو باطنی نہریں اور دو ظاہری نہریں۔ باطنی نہریں تو جنت میں ہیں اور ظاہری نہریں نیل اور فرات ہیں پھر مجھے بیت المعمور کی طرف اٹھایا گیا میں نے جبرائیل سے کہا کہ یہ کیا ہے؟ جبرائیل نے کہا کہ یہ بیت المعمور ہے جس میں ہر روز ستر ہزار فرشتے داخل ہوتے ہیں جب وہ اس سے نکلتے ہیں تو پھر دوبارہ کبھی اس میں داخل نہیں ہوتے ۔
صحیح مسلم ۔ جلد اول ۔ ایمان کا بیان ۔ حدیث 416
----------
The Prophet ﷺ said
Then we travelled on till we reached the seventh heaven and I came to Ibrahim. He (the narrator) narrat- ed in this hadith that the Prophet ﷺ told that he saw four rivers which flowed from (the root of the lote-tree of the farthest limits): two manifest rivers and two hidden rivers. I said: ' Gabriel! what are these rivers? He replied: The two hidden rivers are the rivers of Paradise, and as regards the two manifest ones, they are the Nile and the Euphrates. Then the Bait-ul-Ma'mur was raised up to me. I said: O Gabriel! what is this? He replied: It is the Bait-ul-Ma'mur. Seventy thousand angels enter into it daily and, after they come out, they never return again.
#Sahih Musloim , book 1, 314

No comments :

Post a Comment