*Ukhtis Islamic Quiz*
Sawal :: *Wo Kounsi Basti wale Allah ke nematon Inkar ki to khuda ney un ke sarkashi k maza chakha diya*?
Options Are:
A. Ahle Najad
B. Ahl e Madeena
C. Ahl e Makkah
D. Ahl e Shaam
É. Ahle Koofa
F.In me se koi nahi
B. Ahl e Madeena
C. Ahl e Makkah
D. Ahl e Shaam
É. Ahle Koofa
F.In me se koi nahi
Sawal -2 :: *Un ki is sarkashi ki saza mein dono naematain zehmato se badal di gayeen. Aman______ se, itminan _____ aur _______ se.??*
*Ooper ki Tafseer Ko mukammal kijiye..*
Options Are:
A. Khouf
B. Bhook
C. Ghabrahat
D. Be chain
B. Bhook
C. Ghabrahat
D. Be chain
Sawal -3 :: *Us Basti walo per Sab se aala Nyamat kya thi..*?
No option⭕
*H .Rabbi Zidni Ilma*
_______________
Sahi Jawab Hai ⤵
*S-1 : *C*✅
*S-2 :ABC*✅
*S-3 : *Allah ki azeem Neamat bassat nabwi hai*✅*
*References*
*Al Qûr'ān An Nahal*
*[Tafseer Ibn-e-Kaseer]*
*[Tafseer Ibn-e-Kaseer]*
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
(112 :16) *وَضَرَبَ اللّٰهُ مَثَلًا قَرۡيَةً كَانَتۡ اٰمِنَةً مُّطۡمَٮِٕنَّةً يَّاۡتِيۡهَا رِزۡقُهَا رَغَدًا مِّنۡ كُلِّ مَكَانٍ فَكَفَرَتۡ بِاَنۡعُمِ اللّٰهِ فَاَذَاقَهَا اللّٰهُ لِبَاسَ الۡجُـوۡعِ وَالۡخَـوۡفِ بِمَا كَانُوۡا يَصۡنَعُوۡنَ*
*Aur khuda aik bastii ki misaal bayan farmata hai ke ( har terhan ) aman chain se bastii thi har taraf se rizaq bafaragh chala aata tha. magar un logon ney khuda ki nematon ki nashukri ki to khuda ney un ke aamaal ke sabab un ko bhook aur khauf ka libaas pehna kar ( nashukri ka ) maza chakkha diya*
*اور خدا ایک بستی کی مثال بیان فرماتا ہے کہ (ہر طرح) امن چین سے بستی تھی ہر طرف سے رزق بافراغت چلا آتا تھا۔ مگر ان لوگوں نے خدا کی نعمتوں کی ناشکری کی تو خدا نے ان کے اعمال کے سبب ان کو بھوک اور خوف کا لباس پہنا کر (ناشکری کا) مزہ چکھا* دیا.
_____________
_____________
(16:113)*وَلَـقَدۡ جَآءَهُمۡ رَسُوۡلٌ مِّنۡهُمۡ فَكَذَّبُوۡهُ فَاَخَذَهُمُ الۡعَذَابُ وَهُمۡ ظٰلِمُوۡنَ*
*aur un ke paas un hi mein se aik *paighambar aaya* to unhon ne is ko jhatlaya so un ko azaab ne aa palda aur wo Zaalim they
*اور ان کے پاس ان ہی میں سے ایک پیغمبر آیا تو انہوں نے اس کو جھٹلایا سو ان کو عذاب نے آپکڑا اور وہ ظالم تھے*
_____________
_____________
*Al Qûr'ān An Nahal*
*[Short Tafseer Ibn-e-Kaseer]*
*[Short Tafseer Ibn-e-Kaseer]*
*Aala nemat bassate nabawi is se muraad Aman aur itminan*
*Is se morad *ahal mecca* mein yeh aman o itminan mein they. aas paas laraiyan hoten, yahan koi aankhh bhar kar bhi nah daikhta jo yahan ajatha, aman mein samgha jata. jaisay quran ny farmaya hai ke yeh log kehte hain ke agar hum hadaayat ki pairwi karen to apni zameen se uchak liye jayen kya hum ny inhen aman o aman ka haram nahi day rakha? jahan hamari roziyan qisam qisam ke phoolon ki shakal mein un ke paas charon taraf se khenchi chali aati hain. yahan bhi irshad hota hai ke umdah aur guzaray Laiq rozi is shehar ke logon ke paas har taraf se aa rahi thi lekin phir bhi yeh Allah ki nematon ke munkir rahay jin mein *sab se aala Neymat Anhazrat ( sale Allah aleh wa-alehe wasallam ) ki bassat thi * jaisay irshad baari hai aayat ( اَلَمْ تَرَ اِلَى الَّذِيْنَ بَدَّلُوْا نِعْمَةَ اللّٰهِ كُفْرًا وَّاَحَلُّوْا قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ 28ۙ ) 14 ۔ ابراھیم :28) kya to ny inhen dekha jinhon ny Allah ki Nemat ko kufar se badal diya aur apni qoum ko halakat ki taraf pouncha diya jo jahannum hai jahan yeh daakhil hon ge aur jo buri qarar gaah hai. un ki is sar kashi ki saza mein dono naematen zehmato se badal di gayeen. aman *khauf* se itminan *bhook* aur *ghabrahat* se unhon ny Allah ke rasool ki nah maani. aap ke khilaaf kamar kis li to aap ny un ke liye saat qeht saalou ki bad dua di. jaisi hazrat Yousuf ( aleh salam ) ke zamana mein theen .
______________________
______________________
*اللہ کی عظیم نعمت بعثت نبوی ہے*
اس سے مراد *اہل مکہ* میں یہ امن و اطمینان میں تھے۔ آس پاس لڑائیاں ہوتیں، یہاں کوئی آنکھ بھر کر بھی نہ دیکھتا جو یہاں آجاتا، امن میں سمجھا جاتا۔ جیسے قرآن نے فرمایا ہے کہ یہ لوگ کہتے ہیں کہ اگر ہم ہدایت کی پیروی کریں تو اپنی زمین سے اچک لئے جائیں کیا ہم نے انہیں امن وامان کا حرم نہیں دے رکھا ؟ جہاں ہماری روزیاں قسم قسم کے پھولوں کی شکل میں ان کے پاس چاروں طرف سے کھینچی چلی آتی ہیں۔ یہاں بھی ارشاد ہوتا ہے کہ عمدہ اور گزارے لائق روزی اس شہر کے لوگوں کے پاس ہر طرف سے آرہی تھی لیکن پھر بھی یہ اللہ کی نعمتوں کے منکر رہے جن میں *سب سے اعلیٰ نعمت آنحضرت (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی بعثت تھی* جیسے ارشاد باری ہے آیت ( اَلَمْ تَرَ اِلَى الَّذِيْنَ بَدَّلُوْا نِعْمَةَ اللّٰهِ كُفْرًا وَّاَحَلُّوْا قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ 28ۙ ) 14 ۔ ابراھیم :28) کیا تو نے انہیں دیکھا جنہوں نے اللہ کی نعمت کو کفر سے بدل دیا اور اپنی قوم کو ہلاکت کی طرف پہنچا دیا جو جہنم ہے جہاں یہ داخل ہوں گے اور جو بری قرار گاہ ہے۔ ان کی اس سرکشی کی سزا میں دونوں نعمتیں دوزحمتوں سے بدل دی گئیں۔ *امن خوف سے، *اطمینان بھوک اور گھبراہٹ سے،* انہوں نے اللہ کے رسول کی نہ مانی۔ آپ کے خلاف کمر کس لی تو آپ نے ان کے لئے سات قحط سالیوں کی بد دعا دی۔ جیسی حضرت یوسف (علیہ السلام) کے زمانہ میں تھیں۔
▪▪▪▪▪▪▪▪▪
No comments :
Post a Comment