08/08/2018

Zakaat

*﷽*

*Kitaabuz Zakaat:*
*Book Of Obligatory Charity Tax:*
                                      *کتاب الزکاہ:*

Baab:

_Jis Maal Ki Zakaat De di Jaaye wo Kanz (Khazana) Nahi Hai. Kyunke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaaya Ke 5 Aauqiya se Kam Chaandi Me Zakaat Nahi Hai:_

Hadees:
Hazrat Abu Syeed radi allahu anhu se rivayat hai ki rasool Allah salallahu alaihi wasallam ne farmaya paanch Auqiyah se kam chandi me zakat Nahi hai aur paanch oonton se kam me zakat nahi hai aur paanch wasq se kam (ghalla)  me zakat nahi hai.

Sahih Bukhari
(Obligatory Charity Tax(Zakaat))
Reference : Sahih al-Bukhari 1405
In-book reference : Book 24, Hadith 11

Tashreeh:
_Ek Auqiyah 40 Dirham ka Hota Hai. 5 Auqiyah Ke 200 Dirham Yaani Saadhe 52 Tola Chandi Hoti Hai' Ye Chaandi ka Nisaab Hai. Wasaq 60 Saa ka Hota Hai' Saa 4 Mud ka. Mud ek Ratal Aur Tihaayi Ratal Ka. Hindustan ke Wazan (80 Tola ser ke Hisaab se) Ek Wasaq Pakke 4 Man ya 5 Man ke Qareeb Hota Hai. 5 Wasaq Saadhe 22 Man Ya 25 man Hua. Is se Kam me Zakaat (Ashar(10)) Nahi Hai._

No comments :

Post a Comment