BISMILLAH IR RAHMAN IR RAHIM
📜 *NAMAAZ-E-JANAZA KA SAHEEH TAREEQA.*
Namaaz Janaazah Ruku' Aur Sujood Ke Baghair Khadey Khadey Hi Padhi Jaati Hai, Iski Chaar (4) Takbeeraat Hain.
📚 *[Saheeh AL-Bukhaari, Book On The Merits Of AL-Ansaar, Hadees : 3879. Also See : [MusLim : 2207 or 952]*
1⃣PehLi Takbeer (ALLAAHU AKBAR) Ke Ba'd Soorah Faatihah Aur Koi Ek Soorat Ya Chand Aayaat (Some Verses) Padhi Jaati Hai.
📚 *[Saheeh AL-Bukhaari, Kitaab-UL-Janaaiz, Hadees : 1335]*
2⃣Doosri Takbeer (ALLAAHU AKBAR) Ke Ba'd Durood-e-Ibraaheem Jo Hum Namaaz Mein Padhtey Hain (woh Padhein).
📚 *[Musannaf Ibn Abi Shaibah, Kitaab-UL-Janaaiz (Funerals), Hadees : 11379. Also See : [Musannaf A’bdur-RazzaaQ , 3/489 , Hadees (Saheeh) : 409]*
3⃣Teesri Takbeer (ALLAAHU AKBAR) Ke Ba'd Mayyat Ke Liye Woh Du'aaein Padhi Jaati Hain Jo Nabi [صلّى اللّٰه عليه و سلّم] Se ManQooL (Saabit) Hain.
📚 *[Saheeh MusLim, Kitaab-UL-Janaaiz (Funerals), Hadees : 2232 or 963]*
4⃣ Aur Chauthi Takbeer (ALLAAHU AKBAR) Ke Ba'd SaLaam Pheyr Diya Jaata Hai.
📚 *[Sunan An-Nasaai, Kitaab-UL-Janaaiz (Funerals), Hadees (Saheeh) : 1991]*
-
NOTE :
*Yaad Rahey Ki Is TareeQey Ko Chhord Kar Koi Doosra TareeQah Nahi Hai Agar Phir Bhi Koi Bataaye Tou Samajh Jaana Chaahiye Ki Woh Jhooti Aur Mangharat (fabricated) Ahaadees Bataaraha Hai.*
*Jo Na Tou Nabi [صلّى اللّٰه عليه و سلّم] Se Saabit Hai Aur Na Sahaabah Se.*
No comments :
Post a Comment