15/09/2021

Samundar ke jhaag ke barabar gunah maaf karne wale amal aur azkar


*๐Ÿ’ซ✨In Kalimmat padhne se  uske gunaah Maaf kardiye jaate hain, agarche wo samundar ki jhaag ke barabar ho✨๐Ÿ’ซ*

Bismillahirrahmannirrahim

_*Abdullah bin Umro RadiAllahu anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Zameen per Jo Aadmi ye kalimat ada karta hai:*_ ๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡

*Lailaha ilallah, Allahu Akbar, SubhanAllah, Alhamdulillah, la hawla wala quwwata illah billah*
 uske gunaah Maaf kardiye jaate hain, agarche wo samundar ki jhaag ke barabar ho*
(*Musnad Ahmed Hadees # 5445*)

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jis ne ๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡
*Subhanallahi wabihamdihi din mein 100 martaba kaha, uske Gunaah maaf kardiye jaate hin, khawah Samundar ki jhaag ke barabar he kuy na ho.*
(*Sahih Bukhari Hadees # 6405*)

*Abu Huraira RaziAllahu anhu se marwi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jis shaqs ne apne bistar par aate huwe ye kalimaat kahe
๐Ÿ‘‰ *Lailaha ilallahu wahadahu laa shareeka lahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayeen qadeer, laa hawla wala quwwata illah billah, SubhanAllahi walhamdulillahi wala ilaha ilallahu wallahu akbar* uske gunaah muaaf kardiye jaayenge. Agar che Samundar ki jhaag ke barabar ho.*
-------
*Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 415*

*Abu Huraira RaziAllahu anhu se riwayat hain ke: Jis shaqs ne har Namaz ke baad
๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡
 *33 martaba SubhanAllah, 33 martaba Alhamdulillah, 33 martaba Allahu Akbar kaha, yeh 99 hogaye, phir 100 pura karne ke liye kaha: Lailaha ilallahu wahadahu laa shareeka lahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayeen qadeer.* To uski khataye maaf kardi jaayenge agar che Samundar ki jhaag ke barabar ho.
(*Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2955*)

*Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaks Namaz Doha (Chast) ki do rakhate per muhafizat (pabandi) karega iss ke gunah baksh diye jayenge khawa samundar ki jaagh ke barabar ho*
(*Sunnan e Ibn e Maja#1382-Sahih*)

No comments :

Post a Comment