بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Niyyat Dil Ke iraade kaa naam hai. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hajj aur umrah ki niyyat zabaan se or Awaaz se ki hai.
Umrah ke safar me ihram bandhne se pahele Tasbeeh, Tahleel, aur Takbeer ya koi aur adhkar Padhna Mustahab hai .
Tasbeeh: SubhanAllah, Tahleel: Laa ilaaha ill-Allaah,Takbeer: Allahu Akbar
{Sahi Bukhari Hadees No.1548}
yeh sirf aur sirf Meeqat Pahuchkar Ihram bandhne se pahele padhna hai, Ihram bandhne ke baad nahee, Ihram bandhne se muraad hai Umrah ki niyyat karna.
Umrah (Tawafful Kuddum): Miqaat Pahuch kar Ehraam Bandhle Ehraam Ghar Se bhi bandha ja sakta hai. lekin Niyyat Duwa aur Talabiya Miqaat pahuch kar karna hai. Agar aap Ehraam Ghar se bandhkar kar plain ka safar kar rahe hai to . Miqaat ane se pahle apko bata diya jayega announcement ke zariye. tab aap niyyat aur talbiya pukarna shuru kar de.
Ehraam bandhne ke baad ki koi khaas namaz nahi hai jaise aaj logo ne bana rakhi hai. Agar waqt ho to dakhile masjid ki 2 rakat nafl padhle tab jab aap masjid me dakhil ho aur us waqt farz namaz ka waqt na ho ya farz namaz ki jamat naa khadi ho to.
Miqaat per Ehram bandhne ke baad Umrah ki niyyat Duwa: aise kare .
“Labbaik Allah’humma Bee Umrah”
(A Allah My hazir hu umrah ke sath).
Ab apka kafila miqaat se hokar haram ki taraf badega . Abb Mard Ba Awaze buland talabiya padhe aur aurtein Ahista se padhe. Auraat ke liye jayaz nahi ki Aurat ki Awaz na mahram ke kano tak pahuch jaye. Isiliye Aurtein Ahista se talbiya kahe.
Talbiya: “ Labbaik Allah’humma labbiak, Laa sharika’Lak labbaik, innal hamda wan’nemataa laka’wal mulk laa sharik’ lak.( A Allah my hazir hu apka koi sharik nahi hai. My hazir hu, beshak tamam tarife aur tamam nemaate apke liye hai. Aur hukumat saltanat apki hai. Apka koi sharik nahi.)
{Sahi Bukhari Hadees No.5571 & Sahi Muslim Hadees No. 1184, Sahih Muslim, Vol 3, 2811}
Talbiya kahne wale ke saath Sab paththar, Darakht aur dhele bhi Talbiya kahte hain
Hazrat Sahl bin Sad As-Saidi Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu- Alaihi-Wasallam ne farmaya jab Talbiya kahne wala Talbiya kahta hai to uske daye ( right side) aur baye (left side) zameen ke dono kinaro tak sab paththar, Darakht aur dhele bhi Talbiya kahte hain.
Sunan Ibn Majah, Vol 2 , # 1078 (Hasan)
Talabiya ko pukarna , Ehraam aur Niyyat bandhne se shuru kare aur khatam tawaf shuru karne se pahle . tawaf shuru karne se pahle talabiya kahna band karde. Aur Masjid E Haram me waisey hi dakhi ho jaise dusre masjido me sunnat tariqe se dakhil hote hai. Masjide Haram me sidhe pair se dakhil hokar ye duwa padhe:
Auzubillahi Min’nashaitaan nir razzim Bismillah hir Rahman nir raheem“ Allah’humma salli’ala mohammadiv Wa Sallim, Allah’humma fa’tahli Abwaba Rahmtik. (A Allah rahmat nazil farma mohammed Sallelaho Alayhi Wa sallam per! Aur Allah mere liye rahmat ke darwaze kholde”).
TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....
Jazaakumullahu khair'an

No comments :
Post a Comment