25/08/2016

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 8

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

  Hazrat Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaisey uski Maa ne usey abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak).
(Sahih Bukhari, 1521)

1- Hajj ke 5 arkaan hai:

1. Niyyat
2. Waqoof Arfaah
3. Muzdalifa mein shab guzaarna
4. Tawaaf Ziyarat.
5. Sayee (safa marwa ki).

Agar in mein se koyi arkaan chot jaaye to ayinda saal dubara hajj karna hoga bashart ye ke isteta’at ho (in arkaan ki tafsilaat aage di jayegi).

2-Hajj ke faraayez mein 5 baate hai:

1. Miqaat se ehraam baandhna.
2. Jamro ko kankriya maarna.
3. Sar ke baal mundwaana ya katarwana.
4. Ayyaam tashreeq ki ra'tein mina mein guzaarna.
5. Tawaaf wida karna.

Agar in mein se koi waajib chot jaaye to fidye mein ek jaanwar qurbaan karna hoga agar jaanwar qurbaan karne ki taaqat na ho to 10 roze rakhne honge jis mein se 3 Ayyaam E Hajj ke dauraan aur 7 ghar pahonch kar.

3-Aurat ka Hajj:

1.Mard ki tarah tamaam shariyat aurat ko bhi hai lekin 2 sharaayet mazeedh hai, jis mein ek mahram ka saath hona aur dosra aurat iddat mein na ho (yaani talaaq ke baadh waali iddat).

2. Hajj ko aurat ka jihaad qaraar diya gaya hai.

3. Aurat haj ke safar ke aghaaz ke waqt agar haalat hayz se ho to ghusul kar ke ehraam baandh le.

4. Dauraane hayz tawaaf ke alawa baakhi tamaam hajj ke manasik ada kar sakti hai.

5. Aurten bhi mard ke saath tawaaf kar sakti hai.

6. Aurat ke liye tawaaf ke pehle 3 chakkar mein ramal (yaani thoda tez chalna) mashro nahi.

7. Safa marwa ki sayee ke dauraan bhi aurat ke liye bhaagna (green light par) zaruri nahi hai.

8. Aurat ke liye sar ke baal mundvana jaayez nahi, kuch baal katarvana chahiye (ek por jitna) .

9. Hayz se paak hone ke baad aurat tawaaf ziyarat karne ke liye masjid Aeysha ja kar ehraam baandhe aur phir tawaaf kar le chaahe wo ayaam tashreek ke baad hee ho.

10. Hayz ki haalat mein aurat par tawaaf widayi ki rukhsat hai jab ke us ne 10 zil hajj ko tawaaf ziyarat kar liya ho.

11. Agar hayz se paak hone se pehle mulk ko jaane ke waqt aa jaaye to phir tawaaf ziyarat na karne ki surat mein aurton ko rukna hoga aur tawaaf ziyaraf ke baadh hee mulk jana hoga.

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an 

No comments :

Post a Comment