Showing posts with label ZamZam. Show all posts
Showing posts with label ZamZam. Show all posts

25/08/2016

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 8

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

  Hazrat Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaisey uski Maa ne usey abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak).
(Sahih Bukhari, 1521)

1- Hajj ke 5 arkaan hai:

1. Niyyat
2. Waqoof Arfaah
3. Muzdalifa mein shab guzaarna
4. Tawaaf Ziyarat.
5. Sayee (safa marwa ki).

Agar in mein se koyi arkaan chot jaaye to ayinda saal dubara hajj karna hoga bashart ye ke isteta’at ho (in arkaan ki tafsilaat aage di jayegi).

2-Hajj ke faraayez mein 5 baate hai:

1. Miqaat se ehraam baandhna.
2. Jamro ko kankriya maarna.
3. Sar ke baal mundwaana ya katarwana.
4. Ayyaam tashreeq ki ra'tein mina mein guzaarna.
5. Tawaaf wida karna.

Agar in mein se koi waajib chot jaaye to fidye mein ek jaanwar qurbaan karna hoga agar jaanwar qurbaan karne ki taaqat na ho to 10 roze rakhne honge jis mein se 3 Ayyaam E Hajj ke dauraan aur 7 ghar pahonch kar.

3-Aurat ka Hajj:

1.Mard ki tarah tamaam shariyat aurat ko bhi hai lekin 2 sharaayet mazeedh hai, jis mein ek mahram ka saath hona aur dosra aurat iddat mein na ho (yaani talaaq ke baadh waali iddat).

2. Hajj ko aurat ka jihaad qaraar diya gaya hai.

3. Aurat haj ke safar ke aghaaz ke waqt agar haalat hayz se ho to ghusul kar ke ehraam baandh le.

4. Dauraane hayz tawaaf ke alawa baakhi tamaam hajj ke manasik ada kar sakti hai.

5. Aurten bhi mard ke saath tawaaf kar sakti hai.

6. Aurat ke liye tawaaf ke pehle 3 chakkar mein ramal (yaani thoda tez chalna) mashro nahi.

7. Safa marwa ki sayee ke dauraan bhi aurat ke liye bhaagna (green light par) zaruri nahi hai.

8. Aurat ke liye sar ke baal mundvana jaayez nahi, kuch baal katarvana chahiye (ek por jitna) .

9. Hayz se paak hone ke baad aurat tawaaf ziyarat karne ke liye masjid Aeysha ja kar ehraam baandhe aur phir tawaaf kar le chaahe wo ayaam tashreek ke baad hee ho.

10. Hayz ki haalat mein aurat par tawaaf widayi ki rukhsat hai jab ke us ne 10 zil hajj ko tawaaf ziyarat kar liya ho.

11. Agar hayz se paak hone se pehle mulk ko jaane ke waqt aa jaaye to phir tawaaf ziyarat na karne ki surat mein aurton ko rukna hoga aur tawaaf ziyaraf ke baadh hee mulk jana hoga.

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an 

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 7

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

7-Aurto, baccho aur buddhon ke liye Haj jihaad hai:

Hazrat Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya ke hum bhi kyn na Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saat jihaad aur ghazwo mein jaya kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhaare liye sab se accha aur munasib jihaad Hajj hai, aisa Hajj jo maqbool ho. Hazrat Aisha (Radi Allahu Anha) bayaan karti hai ke jab se main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye irshaad suna hai main ne kabhi Hajj nahi chorda.
Sahih Bukhari 1861.

8-Har saaheb isteta’at par hajj farz hai:

Allah ta’ala ne un logo par jo us ki taraf raaste (yaani akhrajaat wagiayra) ki taaqat rakhte ho, us ghar (yaani Baitullah) ka hajj fardh kiya hai.
Surah Aale Imran ayat 97.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani ho kar mare. (Tirmizi, Jild -1 Safa -167)

9-Hajj zindagi mein sirf ek martaba fardh hai:

Hazrat Ibn Abbas (Radi Allahu Anhu) se marvi marfo rivayat mein hai ke haj ek martaba (fardh) hai, aur jis ne zyaada kiya to wo nafli Hajj hai.
(Sahih Abu Dawood 1514)

Hajj ke liye sharaayat:

1.Mardh ke liye: Islam tasleem karna, baaligh hone, aqal mandh hona, azaad hona (yaani ghulaami mein na hona), isteta’ath hona.

2. Aurto ke liye: Islam tasleem karna, baaligh hone, aqal mandh hona, azaad hona (yaani ghulaami na hona), isteta’ath hona, mahram ka saath hona aur iddat mein na hona.

TO BE CONTINUED IN SHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an